us ko jab ki mere anjam se kuchh kaam nahin mujh ko bhi ishq ke iqdam se kuchh kaam nahin jazba-e-ishq na pahuncha saka jab main us tak mujh ko ab nama-o-paigham se kuchh kaam nahin ghar mein jis ke liye rahta tha wahi ab na raha ab mujhe ghar ke dar-o-baam se kuchh kaam nahin muntazir rahti thi har sham teri qurbat ki tu nahin jab to mujhe sham se kuchh kaam nahin ilm ka jam dar-e-ilm se milta hai mujhe mujh ko to aur kisi jam se kuchh kaam nahin