ye zamini bhi hai zamani bhi fitrat-e-ishq aasmani bhi shart hai jaan se jaiye pahle hai ajab umr-e-jawedani bhi tum ne jo dastan sunai hai hai wahi to meri kahani bhi kitne dilchasp lagne lagte hain mere qisse teri zabani bhi hain zaruri bahut hamare liye ye faza aag aur pani bhi ho gai khatm ek kiran ke sath raat bhi nind bhi kahani bhi mat inhen jaaniye dar-o-diwar in mein yaaden hain kuchh suhani bhi in diwaron pe hi hui tahrir mere man bap ki jawani bhi hum jo ghar chhod kar chale aae the wo ajdad ki nishani bhi la-makan hi ka zikr-e-khair 'adil' go hain qisse bahut makani bhi