us ko kho dene ka ehsas to kam baqi hai jo hua wo na hua hota ye gham baqi hai ab na wo chhat hai na wo zina na angur ki bel sirf ek us ko bhulane ki qasam baqi hai main ne puchha tha sabab ped ke gir jaane ka uth ke mali ne kaha us ki qalam baqi hai jang ke faisle maidan mein kahan hote hain jab talak hafize baqi hain alam baqi hai thak ke girta hai hiran sirf shikari ke liye jism ghayal hai magar aankhon mein ram baqi hai