zarron mein kunmunati hui kaenat hun jo muntazir hai jismon ki main wo hayat hun donon ko pyasa mar raha hai koi yazid ye zindagi husain hai aur main furaat hun neza zamin pe gad ke ghode se kud ja par main zamin pe aabla-pa khali hat hun kaisa falak hun jis pe samundar sawar hai suraj bhi mere sar pe hai main kaisi raat hun andhe kuen mein mar ke jo phenk aae the un bhaiyon se kahiyo abhi tak hayat hun aati hui train ke jo aage rakh gai us man se ye na kahna ba-qaid-e-hayat hun bazar ka naqib samajh kar mujhe na chhed khamosh rahne de main tere ghar ki baat hun