us ko na khayal aae to hum munh se kahen kya wo bhi to mile hum se hamin us se milen kya lashkar ko bachaengi ye do-chaar safen kya aur un mein bhi har shakhs ye kahta hai hamein kya ye to sabhi kahte hain koi fikr na karna ye koi batata nahin hum ko ki karen kya ghar se to chale aate hain bazar ki jaanib bazar mein ye sochte phirte hain ki len kya aankhon ko kiye band pade rahte hain hum log is par bhi to khwabon se hain mahrum karen kya do chaar nahin sainkadon sher us pe kahe hain is par bhi wo samjhe na to qadmon pe jhuken kya jismani talluq pe ye sharmindagi kaisi aapas mein badan kuchh bhi karen is se hamein kya khwabon se bhi milte nahin haalat ke dar se mathe se badi ho gain yaro shikanen kya