tere shaida bhi hue ishq-e-tamasha bhi hue tere diwane tere shahr mein ruswa bhi hue zulf to zulf hai duniya se bhi uljhe hain ki hum ek bagula bhi bane hamil-e-sahra bhi hue tum to sun pae na aawaz-e-shikast-e-dil bhi kuchh hamin the ki harif-e-gham-e-duniya bhi hue hum faqiran-e-mohabbat ke ajab tewar hain razm-e-kaba bhi bane bazm-e-kalisa bhi hue mit ke hum khak hue khak-e-rah-e-ku-e-butan ban ke hum hasil-e-sad-bazm-e-tajalli bhi hue pesh-e-khurshid-e-rukhan zarra-e-nachiz rahe aur hum ru-kash-e-husn-e-rukh-e-zeba bhi hue zinat-e-mahfil-e-sad-zohra-jabinan hue hum han magar ye ki bhari bazm mein tanha bhi hue yun to 'baqar' bhi rahe khak-nashinon mein tere ye alag baat tere lutf se yakta bhi hue