usko takte bhi nahin the pahle

us ko takte bhi nahin the pahle
hum bhi khuddar the kitne pahle

us ko dekha to ye mahsus hua
hum bahut dur the khud se pahle

dil nazar aate hain ab aankhon mein
kitne gahre the ye chashme pahle

khoe rahte hain ab us ki dhun mein
jis ko takte na the pahle pahle

hum ko pahchan liya karte the
ye tere shahr ke raste pahle

ab ujalon mein bhatak jate hain
wo samjhate the andhere pahle

ab na alfaz na ehsas na yaad
itne muflis na hue the pahle

rang ke jal mein aate na kabhi
pas se dekh jo lete pahle

garm hangama-e-kaghaz hai yahan
be-mahak phul kahan the pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close