us ko ye zid hai ki rah jae badan sar na rahe ghumti jae zamin aur koi mehwar na rahe us ne himmat jo badhai bhi to rakkha ye lihaz koi buzdil na bane koi dilawar na rahe us ne is tarah utari mere gham ki taswir rang mahfuz to rah jaen pa manzar na rahe us ne kis naz se bakhshi hai mujhe ja-e-panah yun ki diwar salamat ho magar ghar na rahe ab ke aandhi bhi chali jab to saliqe se chali yun ki rah jae shajar shakh-e-samar-war na rahe ab ye sazish hai ki likkhe na koi qissa-e-dil lafz rah jaen magar koi sukhan-war na rahe