mar kar tir jo wo dilbar-e-jaani mange kah do hum se na koi de ke nishani mange ai sanam dekh ke har dam ki teri kam-sukhani maut ghabra ke na kyun ye khafaqani mange khak se tishna-e-didar ke sabza jo uthe to zaban apni nikale hue pani mange mar-e-pechan to bala haiga magar tu ai zulf hai wo kafir ki na kata tera pani mange dahan-e-yar ho aur mange kisi se dil ko wo jo mange to ba-andaz-e-nihani mange dil mera bosa-ba-paigham nahin hai hamdam yar leta hai to le apni zabani mange jalwa us aalam-e-mani ka jo dekhe ai 'zauq' lutf-e-alfaz na be-husn-e-maani mange