us ne bhari mahfil ko diwana bana dala khud shama bana sab ko parwana bana dala dil apna mohammad ka kashana bana dala ujde hue is ghar ko shahana bana dala wahdat ki pila kar mai us saqi-e-kausar ne ek aalam-e-kasrat ko mastana bana dala dikhla ke jhalak apni allah ne musa ko diwana bana dala parwana bana dala chullu se pila saqi paimana nahin to kya hum ne inhin hathon ko paimana bana dala ab yaad mere dil mein har-waqt buton ki hai allah ka ghar main ne but-khana bana dala 'sanjar' ko khabar apni kuchh bhi nahin wahshat mein ulfat ne use aisa diwana bana dala