tumhaare zulm ko bhi hum wafa samajhte hain ada-o-naz ko apni qaza samajhte hain junun-e-ishq mein hum kya se kya samajhte hain tumhaari shan ko shan-e-khuda samajhte hain huzur aap hain husn-o-jamal ke bande use na puchhiye hum aur kya samajhte hain pari se hur se shams-o-qamar se behtar hain hum un ke husn ko shan-e-khuda samajhte hain sitam-shiar samajhne lage hain hum tujh ko wo aur hain jo tujhe ba-wafa samajhte hain ye raaz-e-ishq chhupane se chhup nahin sakta ki ab to ghair hamein aap ka samajhte hain mariz-e-ishq hue jama is tamanna par dar-e-huzur ko darushshifa samajhte hain tere labon mein hai ek raaz-e-zindagi pinhan teri nigah ko tir-e-qaza samajhte hain hua ye hazrat-e-'sanjar' ko aaj-kal sauda kisi ki yaad ko yaad-e-khuda samajhte hain