us ne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein gir pada hath se aaina pareshani mein aa gae ho to barabar hi mein khema kar lo main to rahta hun isi be-sar-o-samani mein is qadar ghaur se mat dekh bhanwar ki jaanib tu bhi chakra ke na gir jae kahin pani mein kabhi dekha hi nahin is ne pareshan mujh ko main ki rahta hun sada apni nigahbani mein wo mera dost tha dushman to nahin tha 'faisal' main ne har baat bata di use nadani mein