ye bhi nahin ki dast-e-dua tak nahin gaya mera sawal khalq-e-khuda tak nahin gaya phir yun hua ki hath se kashkol gir pada khairaat le ke mujh se chala tak nahin gaya maslub ho raha tha magar hans raha tha main aankhon mein ashk le ke khuda tak nahin gaya jo barf gir rahi thi mere sar ke aas-pas kya likh rahi thi mujh se padha tak nahin gaya 'faisal' mukalima tha hawaon ka phul se wo shor tha ki mujh se suna tak nahin gaya