us ne ek din bhi na puchha bol aakhir kis liye tu mere hote dukhi hai mere shair kis liye sans lene par mujhe majbur karta hai ye kaun kya bataun ji raha hun kis ki khatir kis liye sochta hun kyun bikhar jati nahin har ek shai wo nahin hai to murattab hain anasir kis liye wo jo us ke dil mein hai kyun us ke honton par nahin kuchh nahin tu mujh se milta hai ba-zahir kis liye kis ne har shai ko kiya wahm-o-guman mein mubtala ho gaya saya mera mujh se hi munkir kis liye kaun dekhega hamari khun-amezi yahan aa gae andhon mein hum rangon ke tajir kis liye ab raha hi kya hai mere jeb-o-daman mein 'riyaz' aa raha hai mere pichhe waqt-e-shatir kis liye