jab se ummid bandhi patthar par dhul si jam gai muqaddar par kis ne chadar dhuen ki tani hai mere jannat-misal manzar par mere chaaragaron ne rakkha hai ek ek raste ko thokar par aasman ki talab mein kat kar bhi phadphadate rahe barabar par pas tir-o-kaman ke hote hue khauf tari hai mere lashkar par jab ghadi imtihan ki aai main ne rakh di zaban akhgar par qaid kamre mein ho gaya hun 'nabil' phenk kar main gali se bahar par