us ne jab tark-e-mohabbat ki wazahat nahin di hum ne bhi puchh ke us shakhs ko zahmat nahin di aankh sahti rahi ek dard ke manzar ki chubhan dil wo sabir tha ki rone ki ijazat nahin di muntazir dar pe na tha koi to phir hum ne bhi band darwaze ko dastak ki aziyyat nahin di ye tahi-dasti mili ishq mein mehnat ke ewaz us mahajan ne bhi mazdur ko ujrat nahin di raat to kat gai ek dard ke hangamon mein shikwa ye hai ki hamein subh ne rahat nahin di sar pe rakkha gaya ek bar-e-mashaqqat ek umr itni aasani se qadmon tale jannat nahin di