usne kar wasma jo funduq pe jamai mehndi

us ne kar wasma jo funduq pe jamai mehndi
kya hi dilchasp mujhe wo nazar aai mehndi

na raha ek bhi chor us ke kahin hathon mein
aisi chaturai se kafir ne lagai mehndi

baithe baithe jo mizaj aa gaya rangini par
gundh kar lale ki pati mein milai mehndi

is nafasat ka main kushta hun ki ek to us ne
bangle panon se hathon mein bandhai mehndi

tis pe kam-bakht ki ye dusri saghdai dekh
bandh rumalon se bame ki bachai mehndi

aur hushyari ye sun sote se jo chaunk pada
khol phurti se wahin jald chhudai mehndi

baad-azan taq se ek chhote se shishe ko utar
itr mein hathon se mal mal ke basai mehndi

'mushafi' kyun na dua dewe ki us ko tu ne
ek ghazal aur bhi rangin likhai mehndi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close