na phir rakkhenge teri rah mein pa hum

na phir rakkhenge teri rah mein pa hum
gae-guzre hain aakhir aise kya hum

khinchegi kab wo tegh-e-naz yarab
rahe hain der se sar ko jhuka hum

na jaana ye ki kahte hain kise pyar
rahen be-lutfiyan hi yan to baham

bane kya khal-o-zulf-o-khat se dekhen
hue hain kitne ye kafir faraham

maraz hi ishq ka be-dol hai kuchh
bahut karte hain apni si dawa hum

kahin paiwand hun yarab zamin ke
phirenge us se yun kab tak juda hum

hawas thi ishq karne mein wa-lekin
bahut nadim hue dil ko laga hum

kab aage koi marta tha kisi par
jahan mein kar gae rasm-e-wafa hum

taaruf kya raha ahl-e-chaman se
hue ek umr ke pichhe riha hum

mua jis ke liye us ko na dekha
na samjhe 'mir' ka kuchh muddaa hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close