us ne khwab mein mujh ko jab do kanwal diye jiwan ki nadiya ke dhaare badal diye un phulon ki ab bhi yaad satati hai phul jo apne hathon khud hi masal diye main ne jhil kinare us ka nam liya jhil ne hans ke nile moti ugal diye sare arman kab nikle hain sine se aise bhi hain sine mein jo machal diye aise bhi the log jo gir ke sambhle kam hum ne thokar khai aur phir sambhal diye us dukh ne rakkha hai mujh ko abad talak jis dukh ne han mujh ko jam-e-azal diye us ne hans kar mujh se meri baaten kin lamhe bhar mein sare mausam badal diye us se 'nighat' qaem mera pyar rahe jis ne ye ashaar ba-surat-ghazal diye