us ne kyun sab se juda meri pazirai ki maslahat-kosh thi har baat shanasai ki zakhm-e-dil hum ne sajae to idhar bhi us ne naz-o-andaz se jari sitam-arai ki jism tarsha hua sanche mein dhala hai jaise dast-e-azar ne qasam khai ho sannai ki aisa sairab kiya us ne ki khud tishna-labi ek sanad ban gai tarikh mein saqqai ki shukr hai ai shab-e-hijran ki badi muddat par ho gai dil se mulaqat bhi binai ki shukriya tum ne bujhaya meri hasti ka charagh tum saza-war nahin tum ne to achchhai ki