us ne mail-ba-karam ho ke bulaya hai mujhe aaj phir dil ne ye afsana sunaya hai mujhe sard-mehri pe bhi hota hai tawajjoh ka guman is tarah us ne tawaqqoa pe lagaya hai mujhe yun to fitrat mein bhi aashufta-mizaji thi meri asl mein aap ne diwana banaya hai mujhe parda-dari thi use rabt-e-nihan ki manzur bazm mein apni bahut dur bithaya hai mujhe ye mere zoam-e-bulandi ki saza hai shayad us ne kuchh soch ke nazron se giraya hai mujhe