dil hi girdab-e-tamanna hai yahin dubte hain apne hi gham mein tere khak-nashin dubte hain dil faqirana tha mahr o mah o anjum na bane khas ki manind rahe hum ki nahin dubte hain hum agar dube to kya kaun se aaise hum the shahr ke shahr jahan zer-e-zamin dubte hain apni ruposhi tah-e-khak muqaddar hai to kya dubne ko to sitare bhi kahin dubte hain nakhuda ho ki khuda dekhte rah jate hain kashtiyan dubti hain us ke makin dubte hain par utarna hai to kya mauj-e-bala kaam-e-nahang dosto aao chalo pahle hamin dubte hain ishq wo bahr 'mujibi' hai ki dekha hum ne khar-o-khas par hue ahl-e-yaqin dubte hain