us ne mazaq samjha mera dil dukha gaya phir mom-battiyon ko hamesha bujha gaya nikla tha khud ko dhundne us regzar mein mayus ho ke rasta wapas chala gaya ek ek gali mein dhund rahi thi hawa mujhe lahron ke sath sath mera naqsh-e-pa gaya bistar pe lete lete meri aankh lag gai ye kaun mere kamre ki batti bujha gaya sata raha tha lawn mein sab kaam chhod kar jhonka hawa ka aaya aur hans kar chala gaya