usne nigah-e-lutf-e-karam bar bar ki

us ne nigah-e-lutf-e-karam bar bar ki
ab khairiyat nahin hai dil-e-be-qarar ki

dar ye hai khul na jae kahin raaz-e-ishq bhi
nibhne lagi hai un se mere raazdar ki

sab ke nasib mein hai kahan mauj-e-dard-o-gham
makhsus hain inayaten parwardigar ki

yaadon ki anjuman mein unhen bhi bula liya
ek sham yun bhi hum ne bahut yaadgar ki

jab hum hi fasl-e-gul mein chaman se nikal gae
phir kyun suna rahe ho kahani bahaar ki

'zakir' hum apna dil bhi wahin chhod aae hain
kis darja pur-kashish thi faza us dayar ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close