us ne toda jahan koi paiman marhale aur ho gae aasan mir hai koi koi hai sultan sochta hun kahan gaya insan aandhiyon mein jala rahe the charagh hae wo log be-sar-o-saman falsafi falsafon mein dub gae aadmi ka lahu raha arzan abr ban kar baras hi jaega khet se jab utha gham-e-dahqan shoala-e-gul hai zakhm-e-dil ki tarah ye chaman mein bahaar hai ki khizan sina-e-sang mein bhi phul khile gham jahan bhi hua gham-e-pinhan dil ki aazurdagi na puchh 'zafar' baat mere liye hai sang-e-giran