kai sawal machalte hain har sawal ke baad shab-e-visal se pahle shab-e-visal ke baad na jaane kyun ye mera dil dhadakne lagta hai tere khayal se pahle tere khayal ke baad har ek daw se waqif thi ai mere hamdam main teri chaal se pahle main teri chaal ke baad na jaane kyun teri yaaden tawaf karti hain kisi malal se pahle kisi malal ke baad teri qasam tera chehra hi ru-ba-ru tha mere tere sawal se pahle tere sawal ke baad faza mein qaus-e-quzah si bikhar gai har samt tere jamal se pahle tere jamal ke baad kahan thi ek hi haalat mere dil-o-jaan ki tere khayal se pahle tere khayal ke baad amir-e-shahr unhen yaad kar jo sath rahe tere zawal se pahle tere zawal ke baad koi hai 'rumi' musalsal sawal karta hai mere sawal se pahle mere sawal ke baad