utar lafzon ka ek zakhira ghazal ko taza khayal de de khud apni shohrat pe rashk aae sukhan mein aisa kamal de de sitare taskhir karne wala padosiyon se bhi be-khabar hai agar yahi hai uruj-e-adam to phir hamein tu zawal de de teri taraf se jawab aae na aae parwa nahin hai is ki yahi bahut hai ki hum ko yarab tu sirf izn-e-sawal de de hamari aaankhon se ashk tapken labon pe muskan daudti ho jo hum ne pahle kabhi na paya tu ab ke aisa malal de de kabhi tumhaare qarib rah kar bhi duriyon ke azab jhelen kabhi kabhi ye tumhaari furqat bhi hum ko lutf-e-visal de de