utar raha tha samundar sarab ke andar bichhad ke khud se mila jab main khwab ke andar ragen khinchin to badan khwab ki tarah tuta khala ka zoam bhara tha habab ke andar main mah-o-sal ka kab tak hisab likhta rahun asir puri sadi hai azab ke andar nazar ko faiz mila to labon pe mohr lagi furaat yun bhi mili hai sarab ke andar ajab junun meri ungliyon mein jaga hai ki khun dhund rahi hain gulab ke andar