zindagi ka pahlu hai uski lal aankhon mein

zindagi ka pahlu hai us ki lal aankhon mein
us ne dhul khai hai jaane kitni rahon mein

dil farebi mein us ko ye hunar bhi aata hai
sansen rok deta hai yunhi baaton baaton mein

ghaar todne par bhi rah khul nahin pati
raste nikalte hain khud kabhi chatanon mein

be-ghari ka matlab to dar-ba-dar nahin hota
kuchh malang rahte hain dil ke aastanon mein

aadmi farishton ko bhi fareb deta hai
kuchh gunah hote hain nekiyon ki banhon mein

saz tod dene se soz to nahin thamte
kuchh payam jate hain sard sard aahon mein

shahr bhar ke diwane us ka nam lete hain
us ka zikr hota hai sari khanqahon mein

ek sath rah kar ab dur hain sabhi 'bushra'
ek sath rahte the log achchhe waqton mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close