uth aur phir se rawana ho dar ziyaada nahin bahut kathin sahi manzil safar ziyaada nahin bayan mein apne sadaqat ki hai kami warna ye raaz kya hai ki is par asar ziyaada nahin mujhe kharab kiya us ne han kiya hoga usi se puchhiye mujh ko khabar ziyaada nahin suna hai wo mere bare mein sochta hai bahut khabar to hai hi magar mo'atabar ziyaada nahin ye justuju to rahe kaun hai wo kaisa hai suragh kuchh to malega agar ziyaada nahin abhi rawana hun yaksui se main dasht-ba-dasht ki rahguzar-e-safar mein shajar ziyaada nahin jabhi to khar-e-dil-e-dostan nahin hun abhi ki aib mujh mein bahut hain hunar ziyaada nahin dinon ki baat hai ab kimiya-gari apni ki rah gai hai zara si kasar ziyaada nahin 'zafar' hum aap ko gumrah to nahin kahte yahi ki hain bhi agar rah par ziyaada nahin