uth jaane par to jalwe tumhaare nihan kahan tar-e-nazar hai parda koi darmiyan kahan kul-kaenat kya hai ba-juz yas-o-arzu dil se ziyaada wusat-e-kaun-o-makan kahan utthe hain ab nigah se parde fareb ke juz dard-o-gham khushi ka jahan mein nishan kahan 'kaifi' karishme apne hi kaif-e-nazar ke hain is dahr-e-be-bisat mein ranginiyan kahan