tamam shahr to be-mehr nind so raha tha magar main aankhon mein nok-e-qalam chubho raha tha main jaanta tha mere ashk marne wale hain main jaanta tha ki jo mere sath ho raha tha mujhe khabar nahin kab aansuon ko hosh aaya khabar hui to main zar-o-qatar ro raha tha kuchh is liye bhi khuda ki mujhe zarurat thi main apne khet mein gandum ke bij bo raha tha khayal aaya mujhe jab khuda badalne ka main apne ashkon se harf-e-dua bhigo raha tha mujhe jaga diya jab fajr ke moazzin ne darun-e-khwab main masjid ka sahn dho raha tha samajh raha tha jise main bhi nuh ki kashti usi ka nakhuda logon ko ab dubo raha tha tha ba-nasib bhi aur bad-nasib bhi 'wasif' jo pa raha tha kisi ko kisi ko kho raha tha