utha ke mere zehn se shabab koi le gaya andhere chikhte hain aaftab koi le gaya main sare kaghzat le ke dekhta hi rah gaya sawab koi le gaya azab koi le gaya supurd kar ke khamushi ki mohr-e-khush-numa mujhe labon se nara-ha-e-inqalab koi le gaya hai e'tiraf mere hath mein jo ek chiz thi sambhaal kar rakha to tha janab koi le gaya ye gham nahin ki mujh ko jagna pada hai umr bhar ye ranj hai ki mere sare khwab koi le gaya shajar shajar waraq waraq payam-bar wahan bhi hai jahan se har sahifa har kitab koi le gaya shanakht ho saki na phir bhi ye mera qusur tha hamare darmiyan tha jo hijab koi le gaya