uTha na parda-e-hairat ruKH-e-nihan se abhi

utha na parda-e-hairat rukh-e-nihan se abhi
mere yaqin ko fursat nahin guman se abhi

na khol mujh pe pur-asrar zulmaton ke tilism
bahal rahi hai nazar mah-o-kahkashan se abhi

suna na zamzama-e-ruh-e-kaenat mujhe
ki aa rahi hai sada mere saz-e-jaan se abhi

abhi se de na mujhe manzil-e-adam ka suragh
guzar raha hun main hasti ke imtihan se abhi

dikha na khwab kisi aalam-e-digar ke mujhe
ki mera dil nahin farigh isi jahan se abhi

na kar haqiqat-e-hasti se aashna mujh ko
ki rabt hai mujhe is wahm-e-raegan se abhi

bana raha hun zamin par sanam-kade apne
sadaen de na mujhe baam-e-asman se abhi

maqam-e-hosh bhi meri nazar mein hai lekin
subu hai pur mera sahba-e-arghawan se abhi

bhadak raha hai abhi shoala-e-nafas mera
lapak rahe hain sharare meri zaban se abhi

hai zarra zarra tapan dasht-e-arzu ka mere
uthenge aur bagule bahut yahan se abhi

fana qubul ho kyunkar mujhe ki rishta-e-dil
bandha hua hai tamanna-e-jawidan se abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close