utha shoala sa qalb-e-na-tawan se hawa aai kabhi jo shahr-e-jaan se hamari samt bhi chashm-e-inayat teri khatir bane hain nim-jaan se shikayat us se hai jis par fida hun mujhe shikwa nahin sare jahan se nigahon se ada karte ho matlab kahan kahte ho kuchh apni zaban se tumhin the ya wo parchhain tumhaari abhi bijli si jo guzri yahan se koi sani nahin us ka jahan mein mujhe nisbat hai jis sarw-e-rawan se musibat-ashna yun hi nahin main juda main bhi hui hun karwan se udasi kis liye phaili hui hai utha hai kaun aakhir darmiyan se idhar aa aashna-e-raaz-e-fitrat sada aati hai dasht-e-be-karan se