uthao lauh-o-qalam hadse tamam likhun rawan sadi mein hua hai jo qatl-e-am likhun nasim-e-subh ibarat hai teri khushbu se saba ki narm-rawi ko tera khiram likhun ulajhti sanson ki tafsir khun-chakan naghma sukut tut bhi jae to kis ke nam likhun harim-e-zat farozan hai jis ke partaw se usi jhalak ko ufuq par mah-e-tamam likhun koi to subh-e-rifaqat se kar sakun tabir koi to sham tere sath apne nam likhun chhalak rahi hai subuhi qadam ki laghzish se siyah chashm ki gardish ko daur-e-jam likhun ajab ishaare hain nichi nigah ke 'ishrat' wo jitne ranj bhi de khud ko shad-kaam likhun