tab-e-nigah thi to nazara bhi dost tha us chashm-e-nargisin ka ishaara bhi dost tha tuta to aasman se khalaon mein kho gaya jab tak chamak raha tha sitara bhi dost tha hum khelte the aag se jis sin mein un dinon chingariyan thin phul sharara bhi dost tha athkheliyan thin ret pe maujon ki dur tak thahri hui nadi ka kinara bhi dost tha gham-khwariyan thin shewa dil-e-dard-mand ka lakh ajnabi ho ishq ka mara bhi dost tha raaten khayal-o-khwab se aarasta rahin pahlu mein ek anjuman-ara bhi dost tha mitti ka rizq ho gaya kuchh yaaden chhod kar kis se kahen ki shad sa pyara bhi dost tha kis tarah ja mila hai saf-e-dushmanan mein wo 'ishrat' jo ek shakhs hamara bhi dost tha