uthe teri mahfil se to kis kaam ke utthe dil tham ke baithe the jigar tham ke utthe dam bhar mere pahlu mein unhen chain kahan hai baithe ki bahane se kisi kaam ke utthe us bazm se uth kar to qadam hi nahin uthta ghar subh ko pahunche hain kahin sham ke utthe hai rashk ki ye bhi kahin shaida na hon us ke turbat se bahut log mere nam ke utthe afsana-e-husn us ka hai har ek zaban par parde na kabhi jis ke dar-o-baam ke utthe aaghaz-e-mohabbat mein maze dil ne udae puchhe to koi ranj bhi anjam ke utthe dil nazr mein de aae hum ek shokh ko 'bekhud' bazar mein jab dam na is jam ke utthe