wo bigDe hain ruke baiThe hain jhunjlate hain laDte hain

wo bigde hain ruke baithe hain jhunjlate hain ladte hain
kabhi hum jodte hain hath gahe panw padte hain

gae hain hosh aise gar kahin jaane ko uthta hun
to jata hun idhar ko aur udhar ko panw padte hain

hamara le ke dil kya ek bosa bhi nahin denge
wo yun dil mein to raazi hain magar zahir jhagadte hain

jo tum ko ek shikayat hai to mujh ko lakh shikwe hain
lo aao mil bhi jao ye kahin qisse nabadte hain

udhar wo aur aaina hai aur kakul banana hai
idhar wahm aur khamoshi hai aur dil mein bigadte hain

yahan to sab hamari jaan ko naseh ban ke aate hain
wahan jate hue dil chhutte hain dam ukhadte hain

na dil mein ghar na ja mahfil mein yan bhi baithna mushkil
tere kuche mein ab zalim kab apne panw gadte hain

sahar ko roun ya un ko manaun dil ko ya rokun
ye qismat wade ki shab jhagde sau sau aan padte hain

kabhi jhidki kabhi gali kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
bane kyun kar ki sau sau bar ek dam mein bigadte hain

'nizam' un ki khamoshi mein bhi sadha lutf hain lekin
jo baaten karte hain to munh se goya phul jhadte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close