uThi hai jo qadmon se wo daman se aDi hai

uthi hai jo qadmon se wo daman se adi hai
kya kya nigah-e-shauq pe zanjir padi hai

wo yas ka aalam hai ki har ek nazar par
mahsus ye hota hai judai ki ghadi hai

yun dekhiye to marhala-e-shauq hai yak gam
chaliye to yahi ek qadam rah kadi hai

har ek qadam par hai kisi yaad ka saya
har rahguzar mein koi diwar khadi hai

har ghunche ke chehre se ubharte hain tere naqsh
har gul mein tere husn ki taswir judi hai

kheli thi kabhi husn se tere nigah-e-shauq
itna hai tujhe yaad yahi baat badi hai

naseh teri baaton se kati hijr ki ye sham
ek aur fasana ki abhi raat padi hai

kya jaaniye kya tha tera andaz-e-'tabassum'
har dekhne wale ki nazar mujh pe padi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close