wafa ki aakhiri manzil bhi aa rahi hai qarib jo us jagah bhi na tu mil sake to mere nasib fughan-e-haqq-o-sadaqat ka marhala hai ajib dabe to band-o-salasil uthe to dar-o-salib tere khayal ka maskan chaman chaman ka safar meri wafa ka nasheman faqat dayar-e-habib nazar se bach ke mile hain wo barha mujh ko hazar bar hua hai ye dil nazar ka raqib ulajh na jaen kahin aur dil ke afsane kahan hadis-e-mohabbat kahan bayan-e-khatib na jaane kaun si shai chashm-e-ghamgusar mein thi ki jis ko dekh ke larzan hua hai dast-e-tabib abhi fasurda hai saqi tera 'tabassum'-e-lab kisi ki yaad ko le aao mai-kade ke qarib