utho ab der hoti hai wahan chal kar sanwar jaana yaqini hai ghadi do mein mariz-e-gham ka mar jaana mujhe dar hai gulon ke bojh se marqad na dab jae unhen aadat hai jab aana zarur ehsan dhar jaana habab aa samne sab walwale josh-e-jawani ke ghazab tha qulzum-e-ummid ka chadh kar utar jaana yahan juz kashti-e-mauj-e-bala kuchh bhi na paoge isi ke aasare dariya-e-hasti se utar jaana mabaada phir asir-e-dam-e-aql-o-hosh ho jaun junun ka is tarah achchha nahin had se guzar jaana 'hafiz' aaghaz se anjam tak rahzan ne pahunchaya usi ko ham-safar paya usi ko ham-safar jaana