uthte hue qadmon ki dhamak aane lagi hai pau phatne se pahle hi gali jag uthi hai aashiq ho to choron mein bhi ab nam likhao darwaza bhale band hai khidki to khuli hai log apne makanon ki taraf bhag rahe hain ghar walon pe jaise koi uftad padi hai ai baad-e-saba kis liye phirti hai pareshan kya tu bhi usi phul ki thukrai hui hai aa gardish-e-dauran tujhe sine se laga lun ab tak to meri jaan tu mere sath rahi hai ab aae ho duniya mein to yun munh na bigado do roz to rahna hai buri hai to buri hai bazar ke damon ki shikayat hai har ek ko phir bhi sar-e-bazar badi bhid lagi hai kante ki tarah sukh ke rah jaoge 'alwi' chhodo ye ghazal-goi ye bimari buri hai