uthti ghata hai kis tarah bole wo zulf utha ki yun barq chamakti kyunki hai hans ke ye phir kaha ki yun chori se us ke panw tak pahunchi thi shab ko kis tarah aa kahin hath mat bandha kah de ab ai hina ki yun din ko falak pe kahkashan nikle hai kyunki ghair-e-shab chin-e-jabin dikha mujhe us ne diya bata ki yun jaise kaha ki aashiqan rahte hain kyunki chaak-jeb us ko gul-e-chaman dikha kah ke chali saba ki yun ho gae bar-sar-e-khalish le ke sinan jo khar-e-dasht kar ne kalam tab laga qais-e-barhana-pa ki yun puchhe hai wo ki kis tarah shisha-o-jam ka hai sath kah de mila ke chashm se chashm ko saqiya ki yun karte safar hain kis tarah bahr-e-jahan se ai hubab kheme ko apne lad kar kar de ye uqda wa ki yun