utthe hath duaon wale bhar de maula mere shahr ka mausam achchha kar de maula dhyan-sara mein jaane kab se bahak rahi hain in chidiyon ko apne baal-o-par de maula khwab-nagar se apni faslen katen ye bhi ahl-e-chaman ko achchhi koi khabar de maula in galiyon mein mayusi lahren leti hai in galiyon ko ab to nai sahar de maula thaka hua jab koi musafir laut ke aae jaisa chhod gaya tha waisa ghar de maula