utthi hai jab se dil mein mere ishq ki tarang shadi o gham hain aage mere donon ek rang jab se hua hun baada-e-tauhid se main mast uthti hai dil se naghma-e-mansur ki umang dil andarun-e-sina magar ho gaya hai khun nikle hain meri aaankhon se jo ashk surkh rang pahunche hai tir-e-ah mera arsh ke pare jab se laga hai dil mein mere ishq ka khadang nairangiyan teri hain hui jaise jalwa-gar hosh-o-hawas-o-aql-e-rasa jumla hain ye dang ek bar gar wo dekhe tere rukh ko be-naqab kaba-parast howe wahin par but-e-farang kar nam-o-nang tark dila rah-e-ishq mein aashiq wahi hai jis ko ki hai is se aar-o-nang mat rakh tu bahr-e-ishq mein ai bul-hawas qadam har qatre mein yahan hain bala ke do sad nahang 'asim' main kya karun shah-e-khadim ki ab sana hai pa-e-aql arsa-e-midhat mein us ke lang