tez aandhi ne faqat ek saeban rahne diya hum zamin-zadon ke sar par aasman rahne diya lafz wo barte ki sari baat mubham ho gai ek parda tha ki hael darmiyan rahne diya aankh basti ne sabhi mausam musafir kar diye ek ashkon ki rawani ka saman rahne diya khun ki surkhi andheron mein ujala ban gai hum ne har surat charaghon ko jawan rahne diya sad-kamal-e-mehrbani paniyon ne is dafa kaghzi kashti ko lahron par rawan rahne diya lakh koshish par bhi ghar ko ghar na kar pae 'shafiq' aur phir hum ne makan ko bas makan rahne diya