uzr un ki zaban se nikla tir goya kaman se nikla wo chhalawa is aan se nikla al-aman har zaban se nikla khar-e-hasrat bayan se nikla dil ka kanta zaban se nikla fitna-gar kya makan se nikla aasman aasman se nikla aa gaya ghash nigah dekhte hi muddaa kab zaban se nikla kha gae the wafa ka dhoka hum jhut sach imtihan se nikla dil mein rahne na dun tera shikwa dil mein aaya zaban se nikla wahm aate hain dekhiye kya ho wo akela makan se nikla tum baraste rahe sar-e-mahfil kuchh bhi meri zaban se nikla sach to ye hai moamla dil ka bahar apne guman se nikla us ko aayat hadis kya samjhen jo tumhaari zaban se nikla pad gaya jo zaban se teri harf phir na apne makan se nikla dekh kar ru-e-yar salle-ala be-tahasha zaban se nikla lo qayamat ab aai wo kafir ban-bana kar makan se nikla mar gae hum magar tera arman dil se nikla na jaan se nikla rah-raw-e-rah-e-ishq the lakhon aage main karwan se nikla samjho patthar ki tum lakir use jo hamari zaban se nikla bazm se tum ko le ke jaenge kaam kab phul-pan se nikla kya murawwat hai nawak-e-dil-doz pahle hargiz na jaan se nikla tere diwanon ka bhi lashkar aaj kis tajammul se shan se nikla mud ke dekha to main ne kab dekha dur jab pasban se nikla wo hile lab tumhaare wade par wo tumhaari zaban se nikla us ki banki ada ne jab mara dam mera aan tan se nikla mere aansu ki us ne ki tarif khub moti ye kan se nikla hum khade tum se baaten karte the ghair kyun darmiyan se nikla zikr ahl-e-wafa ka jab aaya 'dagh' un ki zaban se nikla