visal-e-yar tamanna-e-kham hai shayad ye daur-e-hijr abhi na-tamam hai shayad jabin-e-ishq ne jaan pahli bar sajda kiya tera nishan-e-qadam wo maqam hai shayad main jis kitab ko har sham ro ke padhta hun mere sanam ki zaban ka kalam hai shayad tamam zer zabar pesh aur harfon ka bara-e-soz-o-alam ehtimam hai shayad bujha saka na main ashkon se dil ki aatish ko mera fughan fughanon mein kham hai shayad meri nigah mein jina sharaf se marna hai teri nigah mein ye sab haram hai shayad main aaj phir usi mitti pe sajda-rez hua mere ghurur ka ye ikhtitam hai shayad tumhaare ishq ki rudad sun ke lagta hai tere sanam ka bhi 'naqqash' nam hai shayad