jumbish-e-mehr hai har lafz teri baaton ka rang udta nahin aankhon se mulaqaton ka dekhne aae hain jangal mein tamasha sab log in andheron mein bhatakti hui barsaton ka ek ek kar ke tapakti hain khushi ki bunden kis liye phut ke rota hai dhuan raaton ka dekhiye sare charaghon ki lawen dub gain waqt ab aa hi gaya sar pe munajaton ka dhul har-waqt udate hain ufuq ke aage jurm sabit hai hawaon ke khule hathon ka